English Aapke Liye Zaroori Hai
Chahe job ho ya studies, agar aapne apne aap ko improve nahi kiya, to koi aur aapse aage badh jayega.

what makes us different
EnSpeak Spoken English Online Course
60 Video Lessons
60 recorded video lessons, jo aasan aur mazedaar tarike se banaye gaye hain, aap kabhi bhi dekh sakte ho. Har lesson 10 se 15 minute ka hai, jisme easy examples ke saath, maine apne funny style me English ke sabhi important topics ko simple Hindi me samjhaya hai.
Shuru Se Seekho
Agar aap bilkul bhi English nahi bol paate, to koi baat nahi. Is course mein, maine beginner se lekar advanced level tak ke topics step by step is tarah se cover kiye hain ki aapko pata bhi nahi chalega, aur aap advanced level tak pahunch jaoge.
Lesson Test
Har lesson ke baad apni progress jaanchne ke liye ek quiz diya gaya hai, jisme us din ke lesson se sambandhit sawaal honge. Quiz complete karte hi aapko apna score turant mil jayega.
Study Notes
Har lesson me samjhayi gayi baaton ke notes bhi is course me aapko milenge, taaki aap lesson dekhne ke baad unhe padh sakein aur khud bol kar practice kar sakein.
Practice Group
Is course ka sabse khaas feature hai practice group, jisme aap doosre students ke saath audio me practice kar sakte hain. Yeh aapko fluent English bolne mein madad karega aur aapki speaking skills ko sudharega.
Course Certificate
Course ke teen levels hain – beginner, intermediate, aur advanced. Har 20 lessons ke baad ek level complete hota hai, aur us level ka exam dena hota hai. Advanced level ke exam me pass hone par, aapko Government of India ke National Skill Development Corporation (NSDC) se approved certificate milta hai.
Is course me kya sikhaya jayega?
Aapko bilkul shuru se lekar advanced level tak training di jayegi, jisse aap 60 din me fluent English bolne lagenge. Grammar ke rules se confuse hue bina, aap aasani se English me har baat kehna seekh jayenge.
- Bilkul basic se le kar advanced level tak sab kuch
- English words bolne ka sahi tarika
- Sentences banana seekhe, bina grammar rules me uljhe
- Do, Does, Has, Have, Had, jaise topics aasani se seekhe
- Apni introduction kaise deni chahiye
- English me question aur answer kaise kare
- Request karna, ya order, invitation, salaah dena seekhe
- Kisi se kaam karvane wali baat kaise bole
- Could, Would, Should jaise words ka use
- English bolte hue common mistakes kaise theek kare
- English bolne ka confidence kaise laye
- Agar (if) wale Conditional sentences kaise banaye aur bole
- Advanced topics jaise ki Active-Passive Voice, Narration, Causative Verbs, bina grammar me uljhe seekhe aur apne daily routine me istemal kare
Sabhi English concepts ko mazedaar tarike se Hindi me samjhaya gaya hai, mere tarike se aap kisi bhi age pe English seekh sakte hai
Yeh course kin logo ke liye hai?
Yeh course har insaan ke liye hai jo English bolna seekhna chahta hai:
Students ke liye jo English subject me mushkil mehsoos karte hain.
Job dhoond rahe logon ke liye jo behtar job opportunities ke liye English ko improve karna chahte hain.
Government aur private companies ke employees ke liye jo promotion aur career growth paana chahte hain.
Professionals aur businessmen ke liye jo apne kaam me zyada successful hona chahte hain.
Parents ke liye jo apne bachon se English me baat karna chahte hain.
Teachers ke liye jo apne students ko behtar tarike se padhaana chahte hain.
Jo English likhna aur padhna jaanta ho, lekin fluently bol nahi pata, kya usko is course ka fayda hoga?
Haan, bilkul. Jo English jaante hain lekin bol nahi paate, unki problem mainly practice ki kami hoti hai. Fluent English bolne ke liye regular practice zaroori hai, isliye maine har lesson me aise tasks include kiye hain jo aapki bolne ki practice ko improve karenge. Is course me ek practice group bhi hai, jisme students ek doosre se English me text aur audio messages ke zariye practice karte hain. Is group me main aur meri team bhi hain, jo aapki pronunciation aur grammatical mistakes ko correct karenge.
Yeh course join kaise kare?
STEP-1: Course join karne ke liye, neechey diye plans me se ek select karo aur Join Now
button pe click karke online payment karo.
STEP-2: Online payment ke baad, next screen pe aapko meri ENSPEAK APP ka download link mil jayega. ENSPEAK APP ko aap Google Play Store se bhi download kar sakte hain.
STEP-3: Online payment karte hi aapka account activate ho jayega aur aapko SMS bhi aa jayega. Agar aap meri team ko contact karna chaho, to uske liye button is page ke end me hai.
Train with the best
PLAN SELECT KARO
Is plan me aap mere recorded English lessons ko 6 months ke dauran kabhi bhi aur jitni baar chahein dekh sakte hain. Baaki features wahi hain.
Is plan me aap mere recorded English lessons ko 12 months ke dauran kabhi bhi aur jitni baar chahein dekh sakte hain. Baaki features wahi hain.
Is plan me aap mere recorded English lessons ko 6 months ke dauran kabhi bhi aur jitni baar chahein dekh sakte hain. Baaki features wahi hain.
Is plan me aap mere recorded English lessons ko 12 months ke dauran kabhi bhi aur jitni baar chahein dekh sakte hain. Baaki features wahi hain.