Search
Close this search box.

Enspeak: Best English Speaking Course

English Aapke Liye Zaroori Hai

Chahe aap full-time job mein ho ya freelancing kar rahe ho, agar aapne apne aap ko behtar nahi banaya, toh koi aur aapse aage nikal jayega.

Enspeak's Spoken English and Office English Course

Dono courses mein kya kuch seekhne ko milega?

1. Spoken English Course:
 Bilkul basic se le kar advanced level tak sab kuch
 English words bolne ka sahi tarika
 Sentences banana seekhe, bina grammar rules me uljhe
 Do, Does, Has, Have, Had, jaise topics aasani se seekhe
 Apni introduction kaise deni chahiye
 English me question aur answer kaise kare
 Request karna, ya order, invitation, salaah dena seekhe
 Kisi se kaam karvane wali baat kaise bole
 Could, Would, Should jaise words ka use
 English bolte hue common mistakes kaise theek kare
 English bolne ka confidence kaise laye
 Sabhi English concepts ko mazedaar tarike se Hindi me samjhaya gaya hai, mere tarike se aap kisi bhi age pe English seekh sakte hai

2. Professional (Office) English Course:
 Email likhne ka sahi tarika with examples
 Meeting me kaise formal English bolni chahiye with proper communication skills
 Presentation dete hue how to speak English with confidence
 Official phone calls pe English bolne ki alag alag situations kaise handle kare
 Customers, colleagues aur boss ke saath English bolte hue kin baato ka dhyaan rakhe
 Job / Business / Profession mein growth ke liye kayi important tips
 Mere 16 years ke job experience me mujhe “Employee of the Year” ka award mil chuka hai, mujhe highest salary increments mile hai, quick promotions mili hai, so mere experience ka fayda lein, aur English ke saath saath seekhe Success ke Secret Tips

90 Video Lessons

60 recorded video lessons, jo aasan aur mazedaar tarike se banaye gaye hain, aap kabhi bhi dekh sakte ho. Har lesson 10 se 15 minute ka hai, jisme easy examples ke saath, maine apne funny style me English ke sabhi important topics ko simple Hindi me samjhaya hai.

Shuru Se Seekho

Agar aap bilkul bhi English nahi bol paate, to koi baat nahi. Is course mein, maine beginner se lekar advanced level tak ke topics step by step is tarah se cover kiye hain ki aapko pata bhi nahi chalega, aur aap advanced level tak pahunch jaoge.

Lesson Test

Har lesson ke baad apni progress jaanchne ke liye ek quiz diya gaya hai, jisme us din ke lesson se sambandhit sawaal honge. Quiz complete karte hi aapko apna score turant mil jayega.

Study Notes

Har lesson me samjhayi gayi baaton ke notes bhi is course me aapko milenge, taaki aap lesson dekhne ke baad unhe padh sakein aur khud bol kar practice kar sakein.

Practice Group

Is course ka sabse khaas feature hai practice group, jisme aap doosre students ke saath audio me practice kar sakte hain. Yeh aapko fluent English bolne mein madad karega aur aapki speaking skills ko sudharega.

Course Certificate

Course ke teen levels hain – beginner, intermediate, aur advanced. Har 20 lessons ke baad ek level complete hota hai, aur us level ka exam dena hota hai. Advanced level ke exam me pass hone par, aapko Government of India ke National Skill Development Corporation (NSDC) se approved certificate milta hai.

Yeh course kin logo ke liye hai?

Is online English speaking course se koi bhi apni speaking aur writing skills improve kar sakta hai. Yeh course combo kuch specific logon ke liye kafi upyogi ho sakta hai, jaise:

– Students jo jald hi job join karne wale hain.
– Job seekers jo naye opportunities ki talash mein hain aur asaan tareeke se English seekhna chahte hain.
– Government aur private companies ke employees jo office mein sahi English bolne aur likhne ka confidence chahte hain.
– Businessmen aur entrepreneurs jo apni industry mein strong reputation build karna chahte hain.
– Teachers jo apni English improve karna chahte hain aur meetings attend karte hain.

Jinko mainly fluency in English chahiye, kya unko bhi is course combo ka fayda hoga?

Haan, agar aap English likhna aur padhna jaante hain lekin fluent English nahi bol paate, to iska main reason practice ki kami hai. Ek accha online English speaking course aapki fluency improve karne ka best tareeka hai. Fluent English bolne ke liye regular practice zaroori hai. Isliye, maine har lesson mein aisi activities shamil ki hain jo aapki bolne ki practice ko badhawa deti hain, aur saath hi, practice group se bhi aapko fayda milega.

Yeh course join kaise kare?

STEP-1: Spoken English + Professional English Course Combo join karne ke liye, aapke paas 2 options hain – Rs.1799 for 6 months validity aur Rs.2599 for 1 year validity. Ismein aapko 2 online courses mil rahe hain, ek special price par! Apni choice ke hisaab se ek select karein aur “Join Now” button par click karke online payment karein.

STEP-2: Online payment ke baad, aapko SMS ke through ENSPEAK APP ka download link bhej diya jayega. Aap Google Play Store se bhi ENSPEAK APP download kar sakte hain.

STEP-3: Online payment karne ke baad aapka account activate ho jayega aur aapko confirmation ka SMS bhi milega. Agar aapko humari team se contact karna hai, to is page ke end mein contact button available hai.

Train with the best

PLAN SELECT KARO

6 Months Plan

1799 See All Features
  •  

Is plan mein, aap dono courses ke lessons ko 6 mahine ke dauran kabhi bhi aur jitni baar chahein dekh sakte hain.

6 Months Plan

3699 See All Features
  •  

Is plan mein, aap dono courses ke lessons ko 12 mahine ke dauran kabhi bhi aur jitni baar chahein dekh sakte hain.

12 Months Plan

5999 See All Features
  •  

Isme, aap mere All Courses (Spoken + Professional English) ke recorded lessons ko 1 saal ke dauran kabhi bhi aur jitni baar chahein dekh sakte hain. Saath hi, aapko 3 mahine ke liye expert teacher ke saath live classes bhi milengi, jisse aap fluent English bolne ki practice kar payenge aur apne career growth ke liye ready ho sakenge.

Click on the Contact Us button and fill the form. Our team will contact you shortly.

Have a Question?

Shopping Cart
  • Your cart is empty.